Raat ke sannate mein akeli
Dhuen mein dhoondti kuch meri nazarein
Tasveeron ko sochti, idhar udhar niharti
Jaane kya paana tha unhe
Khuli khidki se aati hawa,un kagazon ko uda gayi
Likhe the jin mein mere kuch sapne
Kuch bachpan se panpe, kuch hamesha badalte
Damakti dhoop ki tarah aate, badalon ke peeche chup jate
Pattiyon ki sarsaraahat, thehre waqt ki wo aahat
Sote hue jaga ke chali gayi
Uthke ke dekha to wohi khamoshi, aur ek nayi subah
Guzri chandni ki thandak, aane wali raat ka ehsaas
Kshitij ki or udte, chehekte panchi
Le aayi ek nayi raat, naye sapnon ke naam.